sar-nigun mausam-e-bahaar mein hai
sar-nigūñ mausam-e-bahār meñ hai
ye shajar kis ke intizār meñ hai
tāb-e-nazzāra aañkh ko bhī nahīñ
dil bhī kab apne iḳhtiyār meñ hai
ziist ho baat ho ki majlis ho
lutf gar hai to iḳhtisār meñ hai
vo bas ik baar chhū ke guzre the
ruuh tak lams ke ḳhumār meñ hai
kaisā ulTā safar hai jīvan kā
ye chaḌhāv kisī utaar meñ hai
ziist karne meñ lutf kyā DhūñDheñ
kyā maza vaqt-e-musta.ār meñ hai
baat kuchh to ajiib hai ab ke
kaisī talḳhī mizāj-e-yār meñ hai
sar-nigun mausam-e-bahaar mein hai
ye shajar kis ke intizar mein hai
tab-e-nazzara aankh ko bhi nahin
dil bhi kab apne iKHtiyar mein hai
zist ho baat ho ki majlis ho
lutf gar hai to iKHtisar mein hai
wo bas ek bar chhu ke guzre the
ruh tak lams ke KHumar mein hai
kaisa ulTa safar hai jiwan ka
ye chaDhaw kisi utar mein hai
zist karne mein lutf kya DhunDhen
kya maza waqt-e-mustaar mein hai
baat kuchh to ajib hai ab ke
kaisi talKHi mizaj-e-yar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.