sar par hamare bar-e-digar kaun de gaya
sar par hamāre bār-e-digar kaun de gayā
āḳhir safar meñ raḳht-e-safar kaun de gayā
vo aadmī hai kitne parindoñ kā aasrā
us aadmī ko tarz-e-shajar kaun de gayā
maqtal meñ bahas kā hai yahī mudda.ā abhī
dastār ko sañbhāl ke sar kaun de gayā
baiThe hue haiñ shāḳh pe ḳhushbū sameT kar
titlī ko in guloñ kī ḳhabar kaun de gayā
jugnū charāġh chāñd na taara koī yahāñ
dīvār-e-shab-siyāh meñ dar kaun de gayā
kal ek but ne mujh se kiyā thā yahī savāl
patthar tarāshne kā hunar kaun de gayā
'rākesh' roz kahtā hai 'dilbar' se āj-kal
mujh ko ġhazal ke zer-o-zabar kaun de gayā
sar par hamare bar-e-digar kaun de gaya
aaKHir safar mein raKHt-e-safar kaun de gaya
wo aadmi hai kitne parindon ka aasra
us aadmi ko tarz-e-shajar kaun de gaya
maqtal mein bahas ka hai yahi muddaa abhi
dastar ko sanbhaal ke sar kaun de gaya
baiThe hue hain shaKH pe KHushbu sameT kar
titli ko in gulon ki KHabar kaun de gaya
jugnu charagh chand na tara koi yahan
diwar-e-shab-siyah mein dar kaun de gaya
kal ek but ne mujh se kiya tha yahi sawal
patthar tarashne ka hunar kaun de gaya
'rakesh' roz kahta hai 'dilbar' se aaj-kal
mujh ko ghazal ke zer-o-zabar kaun de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.