sar par koi aasman rakh de
sar par koī āsmān rakh de
ik muñh meñ magar zabān rakh de
aa sulh nahīñ salām to le
ye tiir chaḌhī kamān rakh de
itnā bhī na be-lihāz ho jā
thoḌā sā to ḳhush-gumān rakh de
tujh ko tirī hikmateñ mubārak
ik haath pe ik jahān rakh de
phir ham ko gadā-e-rah banā kar
rah meñ koī imtihān rakh de
tafsīl kahīñ garāñ na paḌ jaa.e
ik harf meñ dāstān rakh de
ab dhyān kī baat chhiḌ ga.ī to
kuchh is se alag bhī dhyān rakh de
sar par koi aasman rakh de
ek munh mein magar zaban rakh de
aa sulh nahin salam to le
ye tir chaDhi kaman rakh de
itna bhi na be-lihaz ho ja
thoDa sa to KHush-guman rakh de
tujh ko teri hikmaten mubarak
ek hath pe ek jahan rakh de
phir hum ko gada-e-rah bana kar
rah mein koi imtihan rakh de
tafsil kahin garan na paD jae
ek harf mein dastan rakh de
ab dhyan ki baat chhiD gai to
kuchh is se alag bhi dhyan rakh de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.