sar pe aafat hai musibat hai bacha le mujhko
sar pe aafat hai musībat hai bachā le mujh ko
laḌkhaḌāte haiñ qadam koī sañbhāle mujh ko
maiñ masā.ib meñ bhī jiine kī duā māñgūñgā
log kahte haiñ ki duniyā se uThā le mujh ko
maiñ vo gauhar huuñ jo siine meñ dabā huuñ us ke
koī mallāh samundar se nikāle mujh ko
maiñ kamātā huuñ magar ab bhī mazā dete haiñ
mere maañ baap ke hāthoñ ke nivāle mujh ko
ik baḌe arse se maiñ ruuTh gayā huuñ ḳhud se
ho sake garche koī aa ke manā le mujh ko
naaz aa.egā muqaddar pe mujhe tab 'ahmad'
jab koī aa ke nasīb apnā banā le mujh ko
sar pe aafat hai musibat hai bacha le mujh ko
laDkhaDate hain qadam koi sanbhaale mujh ko
main masaib mein bhi jine ki dua mangunga
log kahte hain ki duniya se uTha le mujh ko
main wo gauhar hun jo sine mein daba hun us ke
koi mallah samundar se nikale mujh ko
main kamata hun magar ab bhi maza dete hain
mere man bap ke hathon ke niwale mujh ko
ek baDe arse se main ruTh gaya hun KHud se
ho sake garche koi aa ke mana le mujh ko
naz aaega muqaddar pe mujhe tab 'ahmad'
jab koi aa ke nasib apna bana le mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.