sar pe chhat do waqt roTi aur kapDe ka sawal
sar pe chhat do vaqt roTī aur kapḌe kā savāl
kar diyā hai ek muflis ne baḌā kitnā savāl
zindagī kī ne'matoñ par merā koī haq nahīñ
thā javāñ beva ke hoñToñ par faqat itnā savāl
bār-e-ḳhātir gar na ho to 'arz bas itnī sī hai
pūchh leñ kyā aap se ham koī man-chāhā savāl
the diye āñkhoñ meñ jo ummīd ke vo bujh ga.e
rad jo us ne kar diyā jab merā chhoTā sā savāl
jis ko apnī ‘ilmiyat kā zo'm thā had se sivā
gung ho kar rah gayā vo jab sunā merā savāl
sar pe chhat do waqt roTi aur kapDe ka sawal
kar diya hai ek muflis ne baDa kitna sawal
zindagi ki ne'maton par mera koi haq nahin
tha jawan bewa ke honTon par faqat itna sawal
bar-e-KHatir gar na ho to 'arz bas itni si hai
puchh len kya aap se hum koi man-chaha sawal
the diye aankhon mein jo ummid ke wo bujh gae
rad jo us ne kar diya jab mera chhoTa sa sawal
jis ko apni ‘ilmiyat ka zo'm tha had se siwa
gung ho kar rah gaya wo jab suna mera sawal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.