sar pe Dale hue wo gard-e-malal aata hai
sar pe Daale hue vo gard-e-malāl aatā hai
jab use merī vafāoñ kā ḳhayāl aatā hai
maiñ jo chāhūñ to badal duuñ abhī nazm-e-ālam
kyā karūñ terī mashiyyat kā ḳhayāl aatā hai
kaun hotā hai bure vaqt kā sāthī ham dam
aise aalam meñ kise kis kā ḳhayāl aatā hai
fitne uTh uTh ke qadam-bos hue jaate haiñ
kis qayāmat kī vo chalte hue chaal aatā hai
koī aatā to hai taskīn kī ḳhātir ai dil
vo na aa.eñ na sahī un kā ḳhayāl aatā hai
saarī duniyā nazar aatī hai 'girāmī' tārīk
jab mujhe dil kī tabāhī kā ḳhayāl aatā hai
sar pe Dale hue wo gard-e-malal aata hai
jab use meri wafaon ka KHayal aata hai
main jo chahun to badal dun abhi nazm-e-alam
kya karun teri mashiyyat ka KHayal aata hai
kaun hota hai bure waqt ka sathi hum dam
aise aalam mein kise kis ka KHayal aata hai
fitne uTh uTh ke qadam-bos hue jate hain
kis qayamat ki wo chalte hue chaal aata hai
koi aata to hai taskin ki KHatir ai dil
wo na aaen na sahi un ka KHayal aata hai
sari duniya nazar aati hai 'girami' tarik
jab mujhe dil ki tabahi ka KHayal aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.