sar pe dastar rakhe hath mein kasa rakkhe
sar pe dastār rakhe haath meñ kaasa rakkhe
kaun ab jaan pe apnī ye tamāsha rakkhe
koī dariyā na bujhā paayā mirī tishna-labī
ab koī laa.e mire hoñToñ pe sahrā rakkhe
is ko Thukrā duuñ agar sar pe biThā legī mujhe
maiñ jo phirtā huuñ abhī sar pe ye duniyā rakhe
ek muddat se nahīñ dekhā hai chehra un kā
ek muddat se hai āñkheñ mirī roza rakhe
is se kam par kabhī raazī nahīñ hote māshūq
ishq jo dil meñ rakhe sar kā bhī saudā rakkhe
bevafā se bhī nibhā.e koī kab tak 'dānish'
sabr bhī rakkhe to āḳhir koī kitnā rakkhe
sar pe dastar rakhe hath mein kasa rakkhe
kaun ab jaan pe apni ye tamasha rakkhe
koi dariya na bujha paya meri tishna-labi
ab koi lae mere honTon pe sahra rakkhe
is ko Thukra dun agar sar pe biTha legi mujhe
main jo phirta hun abhi sar pe ye duniya rakhe
ek muddat se nahin dekha hai chehra un ka
ek muddat se hai aankhen meri roza rakhe
is se kam par kabhi raazi nahin hote mashuq
ishq jo dil mein rakhe sar ka bhi sauda rakkhe
bewafa se bhi nibhae koi kab tak 'danish'
sabr bhi rakkhe to aaKHir koi kitna rakkhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.