sar pe jo saeban mayassar hai
sar pe jo sā.ebāñ mayassar hai
sab ko ye bhī kahāñ mayassar hai
kaise kah duuñ ki chhat nahīñ sar par
mujh ko jab āsmāñ mayassar hai
sar pe saaya hai jin ke maaoñ kā
un ko jā-e-amāñ mayassar hai
aao chalte haiñ apne gaañv meñ
ab sabhī kuchh vahāñ mayassar hai
mil rahī hai ġharīb ko roTī
aur kapḌā makāñ mayassar hai
be-gharoñ kā vo dard kyā jaane
jis ko ik āshiyāñ mayassar hai
naaz ham ko bajā vatan par hai
ham ko sab kuchh yahāñ mayassar hai
aur kyā chāhiye hameñ 'aḳhtar'
mahfil-e-dostāñ mayassar hai
sar pe jo saeban mayassar hai
sab ko ye bhi kahan mayassar hai
kaise kah dun ki chhat nahin sar par
mujh ko jab aasman mayassar hai
sar pe saya hai jin ke maon ka
un ko ja-e-aman mayassar hai
aao chalte hain apne ganw mein
ab sabhi kuchh wahan mayassar hai
mil rahi hai gharib ko roTi
aur kapDa makan mayassar hai
be-gharon ka wo dard kya jaane
jis ko ek aashiyan mayassar hai
naz hum ko baja watan par hai
hum ko sab kuchh yahan mayassar hai
aur kya chahiye hamein 'aKHtar'
mahfil-e-dostan mayassar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.