sar pe suraj hai kahin saya-e-diwar nahin
sar pe sūraj hai kahīñ sāya-e-dīvār nahīñ
ek phailā huā sahrā hai koī yaar nahīñ
jab se dekhī hai tirī sūrat-e-zebā ham ne
dīd-e-gul ke bhī zamāne meñ gunahgār nahīñ
jab na bikte the to har shaḳhs ḳharīdār milā
ab jo bāzār meñ aa.e to ḳharīdār nahīñ
shab kī tārīkī meñ chup-chāp mujhe qatl karo
dosto sar mirā shāyān-e-sar-e-dār nahīñ
kyuuñ na tāroñ kī ziyā hī meñ ho āġhāz-e-safar
sub.h hone ke to 'ārif' koī āsār nahīñ
sar pe suraj hai kahin saya-e-diwar nahin
ek phaila hua sahra hai koi yar nahin
jab se dekhi hai teri surat-e-zeba hum ne
did-e-gul ke bhi zamane mein gunahgar nahin
jab na bikte the to har shaKHs KHaridar mila
ab jo bazar mein aae to KHaridar nahin
shab ki tariki mein chup-chap mujhe qatl karo
dosto sar mera shayan-e-sar-e-dar nahin
kyun na taron ki ziya hi mein ho aaghaz-e-safar
subh hone ke to 'arif' koi aasar nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.