sar pe tegh-e-be-aman hathon mein pyala zahr ka
sar pe teġh-e-be-amāñ hāthoñ meñ pyāla zahr kā
kis tarah hoñToñ pe lā.ūñ haal apne shahr kā
bah rahe haiñ pāniyoñ meñ ghar safīnoñ kī tarah
sāhiloñ se is tarah uchhlā hai paanī nahr kā
us badan par ab qabā-e-shahryārī tang hai
jis ne chhīnā hai kafan tak har ġharīb-e-shahr kā
rang āñkhoñ meñ 'ajab qaus-e-quzah ke ghul ga.e
dīdanī hai mauj meñ aanā lahū kī lahr kā
dushmanī kī mai to chhalkī hai bahut 'mohsin' magar
zā.iqa kuchh aur hī hai dostī ke zahr kā
sar pe tegh-e-be-aman hathon mein pyala zahr ka
kis tarah honTon pe laun haal apne shahr ka
bah rahe hain paniyon mein ghar safinon ki tarah
sahilon se is tarah uchhla hai pani nahr ka
us badan par ab qaba-e-shahryari tang hai
jis ne chhina hai kafan tak har gharib-e-shahr ka
rang aankhon mein 'ajab qaus-e-quzah ke ghul gae
didani hai mauj mein aana lahu ki lahr ka
dushmani ki mai to chhalki hai bahut 'mohsin' magar
zaiqa kuchh aur hi hai dosti ke zahr ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.