sar-ta-ba-qadam hasil-e-unwan-e-ghazal ho
sar-tā-ba-qadam hāsil-e-'unvān-e-ġhazal ho
tum mere liye matla'-e-dīvān-e-ġhazal ho
hoñToñ ke tabassum se chaman khilte haiñ lākhoñ
majmū'a-e-faizān-e-gulistān-e-ġhazal ho
hotā hai tumheñ dekh ke bedār taḳhayyul
shā'ir ke liye hāsil-e-sāmān-e-ġhazal ho
har ek adā misra-e-mauzūn-e-ġhazal hai
tum rūh-e-ġhazal fikr-e-ġhazal jān-e-ġhazal ho
maiñ kyoñ na 'amīr' un ko kahūñ kā’ba-e-hastī
jab un kā tasavvur mirā īmān-e-ġhazal ho
sar-ta-ba-qadam hasil-e-'unwan-e-ghazal ho
tum mere liye matla'-e-diwan-e-ghazal ho
honTon ke tabassum se chaman khilte hain lakhon
majmu'a-e-faizan-e-gulistan-e-ghazal ho
hota hai tumhein dekh ke bedar taKHayyul
sha'ir ke liye hasil-e-saman-e-ghazal ho
har ek ada misra-e-mauzun-e-ghazal hai
tum ruh-e-ghazal fikr-e-ghazal jaan-e-ghazal ho
main kyon na 'amir' un ko kahun ka’ba-e-hasti
jab un ka tasawwur mera iman-e-ghazal ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.