sar-ta-ba-qadam KHun ka jab ghaza laga hai
sar-tā-ba-qadam ḳhuun kā jab ġhāza lagā hai
tab zaḳhm kī gahrā.ī kā andāza lagā hai
ye raat kā jañgal ye ḳhamoshī ye añdherā
patta bhī jo khaḌkā hai to āvāza lagā hai
mālūm nahīñ merā khulā dasht kahāñ hai
sahrā kā ḳhalā bhī mujhe darvāza lagā hai
ehsān ye kuchh kam to nahīñ gul-badanoñ kā
jo zaḳhm hai siine pe gul-e-tāza lagā hai
yakjā hue yādoñ ke umaDte hue paikar
phir muntashir apnā mujhe shīrāza lagā hai
sar-ta-ba-qadam KHun ka jab ghaza laga hai
tab zaKHm ki gahrai ka andaza laga hai
ye raat ka jangal ye KHamoshi ye andhera
patta bhi jo khaDka hai to aawaza laga hai
malum nahin mera khula dasht kahan hai
sahra ka KHala bhi mujhe darwaza laga hai
ehsan ye kuchh kam to nahin gul-badanon ka
jo zaKHm hai sine pe gul-e-taza laga hai
yakja hue yaadon ke umaDte hue paikar
phir muntashir apna mujhe shiraaza laga hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.