sar tan se bekason ke juda kar diye gae
sar tan se bekasoñ ke judā kar diye ga.e
tohfe meñ is sadī ko 'atā kar diye ga.e
le kar maiñ zindagī ke vasā.il ko kyā karūñ
asbāb har ḳhushī ke fanā kar diye ga.e
fasl-e-bahār ḳhatm huī aa.ī jab ḳhizāñ
panchhī jo qaid meñ the rihā kar diye ga.e
qaa.em jahāñ meñ urdu zabāñ kā vaqār hai
aslāf zulmatoñ meñ jilā kar diye ga.e
raushan jo ittihād ke asbāq the 'adīm'
tārīḳh se vo lafz judā kar diye ga.e
sar tan se bekason ke juda kar diye gae
tohfe mein is sadi ko 'ata kar diye gae
le kar main zindagi ke wasail ko kya karun
asbab har KHushi ke fana kar diye gae
fasl-e-bahaar KHatm hui aai jab KHizan
panchhi jo qaid mein the riha kar diye gae
qaem jahan mein urdu zaban ka waqar hai
aslaf zulmaton mein jila kar diye gae
raushan jo ittihad ke asbaq the 'adim'
tariKH se wo lafz juda kar diye gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.