sar to neze pe un ke uchhaale gae
sar to neze pe un ke uchhāle ga.e
vo magar apnā īmāñ bachā le ga.e
ḳhuub ġhairoñ ke armāñ nikāle ga.e
aur ham the ki bātoñ meñ Taale ga.e
shauq-e-manzil jinheñ thā vo Thahre kahāñ
raah meñ un kī kāñTe bhī Daale ga.e
sar pe pahle to dastār bāñdhī ga.ī
aur phir bazm se ham nikāle ga.e
ḳhud-numā.ī kā shauq ā.ina-gar ko thā
aa.ine saḳht mushkil meñ Daale ga.e
saath jā.eñge ā'māl hī qabr meñ
kis ke kab ham-nafas ham-piyāle ga.e
jo chale us taraf ho ga.e mo'tabar
jis taraf aap ke naqsh-e-pā le ga.e
bach na paayā baḌe se baḌā muttaqī
jab burā.ī ke pahlū nikāle ga.e
sar to neze pe un ke uchhaale gae
wo magar apna iman bacha le gae
KHub ghairon ke arman nikale gae
aur hum the ki baaton mein Tale gae
shauq-e-manzil jinhen tha wo Thahre kahan
rah mein un ki kanTe bhi Dale gae
sar pe pahle to dastar bandhi gai
aur phir bazm se hum nikale gae
KHud-numai ka shauq aaina-gar ko tha
aaine saKHt mushkil mein Dale gae
sath jaenge aa'mal hi qabr mein
kis ke kab ham-nafas ham-piyale gae
jo chale us taraf ho gae mo'tabar
jis taraf aap ke naqsh-e-pa le gae
bach na paya baDe se baDa muttaqi
jab burai ke pahlu nikale gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.