sar uThae hain aasman kai
sar uThā.e haiñ āsmān ka.ī
maiñ akelā huuñ aur kamān ka.ī
haal duniyā kā pūchhiye mujh se
mujh meñ rahte haiñ ḳhāndān ka.ī
har qadam imtihān hai merā
ho ga.e mere mehrbān ka.ī
be-zabāñ ho ga.e parinde jab
nazr-e-ātish hue makān ka.ī
log ā.īna us ko kahte haiñ
muñh meñ rakhtā hai jo zabān ka.ī
zindagānī tire sivā bhī aur
ham ko dene haiñ imtihān ka.ī
maiñ sunā.ūñ magar kahāñ se 'qamar'
mujh meñ pinhāñ haiñ dāstān ka.ī
sar uThae hain aasman kai
main akela hun aur kaman kai
haal duniya ka puchhiye mujh se
mujh mein rahte hain KHandan kai
har qadam imtihan hai mera
ho gae mere mehrban kai
be-zaban ho gae parinde jab
nazr-e-atish hue makan kai
log aaina us ko kahte hain
munh mein rakhta hai jo zaban kai
zindagani tere siwa bhi aur
hum ko dene hain imtihan kai
main sunaun magar kahan se 'qamar'
mujh mein pinhan hain dastan kai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.