sar uThae hue zindan se guzar jate hain
sar uThā.e hue zindāñ se guzar jaate haiñ
sar-phire log bayābāñ se guzar jaate haiñ
jānñe ke liye chaḌhte hue dariyā kā mizāj
ham to bahte hue tūfāñ se guzar jaate haiñ
yaad aa jaatā hai ham ko ġham-e-daurāñ kā sulūk
log jab bhī ġham-e-jānāñ se guzar jaate haiñ
ham ne dekhā hai masīhā ko bhī pāband-e-junūñ
ahl-e-dil jab kabhī darmāñ se guzar jaate haiñ
vo to aañsū the jo āñkhoñ hī meñ mahfūz rahe
ye haiñ kuchh phuul jo mizhgāñ se guzar jaate haiñ
fasl-e-gul laa.ī hai dāman meñ chhupā kar kāñTe
is liye phuul gulistāñ se guzar jaate haiñ
ik fasāna hai adhūrā sā na.e daur ke log
raushnī le ke shabistāñ se guzar jaate haiñ
sar uThā.e hue phirte the yahāñ kal jo 'munīr'
aaj vo gardish-e-daurāñ se guzar jaate haiñ
sar uThae hue zindan se guzar jate hain
sar-phire log bayaban se guzar jate hain
jaanne ke liye chaDhte hue dariya ka mizaj
hum to bahte hue tufan se guzar jate hain
yaad aa jata hai hum ko gham-e-dauran ka suluk
log jab bhi gham-e-jaanan se guzar jate hain
hum ne dekha hai masiha ko bhi paband-e-junun
ahl-e-dil jab kabhi darman se guzar jate hain
wo to aansu the jo aankhon hi mein mahfuz rahe
ye hain kuchh phul jo mizhgan se guzar jate hain
fasl-e-gul lai hai daman mein chhupa kar kanTe
is liye phul gulistan se guzar jate hain
ek fasana hai adhura sa nae daur ke log
raushni le ke shabistan se guzar jate hain
sar uThae hue phirte the yahan kal jo 'munir'
aaj wo gardish-e-dauran se guzar jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.