sar uThane ka kya hunar aaya
sar uThāne kā kyā hunar aaya
bas ye samjho maiñ dhaar par aaya
aa.ine par nazar paḌī yak-dam
dekhā dekhā koī nazar aaya
kal gayā thā maiñ ek gulshan meñ
phuul shāḳhoñ pe bāñdh kar aaya
ḳhāmoshī ruuh tak utar aa.ī
to merī baat meñ asar aaya
koī tasvīr to na ban paa.ī
ek ḳhāke meñ rang bhar aaya
chhoḌ kar vo mujhe gayā lekin
saarā ilzām mere sar aaya
us ne pūchhā ki kaun 'fahmī' kaun
aur maiñ sīḌhiyāñ utar aaya
sar uThane ka kya hunar aaya
bas ye samjho main dhaar par aaya
aaine par nazar paDi yak-dam
dekha dekha koi nazar aaya
kal gaya tha main ek gulshan mein
phul shaKHon pe bandh kar aaya
KHamoshi ruh tak utar aai
to meri baat mein asar aaya
koi taswir to na ban pai
ek KHake mein rang bhar aaya
chhoD kar wo mujhe gaya lekin
sara ilzam mere sar aaya
us ne puchha ki kaun 'fahmi' kaun
aur main siDhiyan utar aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.