sar uThaya mazhabi diwar par paTka hua
sar uThāyā maz.habī dīvār par paTkā huā
raah par aane lagā dil raah se bhaTkā huā
ras-kashī kī dāvateñ dete rahe taaza gulāb
jhāḌiyoñ meñ thā magar titlī kā par aTkā huā
tazkira hone lagā jab āstīñ ke saañp kā
paas hī ehsās mujh ko sarsarāhaT kā huā
tishna-e-dīdār meñ hī to nahīñ huuñ in dinoñ
us ke ghar ke aa.ine kā bhī hai muñh laTkā huā
ajnabī māhaul meñ kho jaane kā Dar hai to kyā
thaam luuñ dāman tirā meñ bārhā jhaTkā huā
sar uThaya mazhabi diwar par paTka hua
rah par aane laga dil rah se bhaTka hua
ras-kashi ki dawaten dete rahe taza gulab
jhaDiyon mein tha magar titli ka par aTka hua
tazkira hone laga jab aastin ke sanp ka
pas hi ehsas mujh ko sarsarahaT ka hua
tishna-e-didar mein hi to nahin hun in dinon
us ke ghar ke aaine ka bhi hai munh laTka hua
ajnabi mahaul mein kho jaane ka Dar hai to kya
tham lun daman tera mein barha jhaTka hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.