sara-e-shar mein rahna paD raha hai
sarā-e-shar meñ rahnā paḌ rahā hai
qazā ke Dar meñ rahnā paḌ rahā hai
hai mere qatl ke darpai ḳhamoshī
sadā ke dar meñ rahnā paḌ rahā hai
maiñ ḳhud ko dūsroñ meñ dekhtā huuñ
so chashm-e-tar meñ rahnā paḌ rahā hai
ḳhayāl-o-ḳhvāb haiñ jis ke muāvin
use bistar meñ rahnā paḌ rahā hai
maiñ huuñ jis kā dil-o-jāñ se muḳhālif
usī lashkar meñ rahnā paḌ rahā hai
guzārā faqr par hotā hai phir bhī
panāh-e-zar meñ rahnā paḌ rahā hai
chalā hai hijratoñ kā daur jab se
zamāne-bhar meñ rahnā paḌ rahā hai
koī to laash hai mere havāle
jo murda ghar meñ rahnā paḌ rahā hai
havā ke paañv to bāhar haiñ 'rāhat'
mujhe chādar meñ rahnā paḌ rahā hai
sara-e-shar mein rahna paD raha hai
qaza ke Dar mein rahna paD raha hai
hai mere qatl ke darpai KHamoshi
sada ke dar mein rahna paD raha hai
main KHud ko dusron mein dekhta hun
so chashm-e-tar mein rahna paD raha hai
KHayal-o-KHwab hain jis ke muawin
use bistar mein rahna paD raha hai
main hun jis ka dil-o-jaan se muKHalif
usi lashkar mein rahna paD raha hai
guzara faqr par hota hai phir bhi
panah-e-zar mein rahna paD raha hai
chala hai hijraton ka daur jab se
zamane-bhar mein rahna paD raha hai
koi to lash hai mere hawale
jo murda ghar mein rahna paD raha hai
hawa ke panw to bahar hain 'rahat'
mujhe chadar mein rahna paD raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.