sarab-e-zist mein simTa hua hun
sarāb-e-zīst meñ simTā huā huuñ
samundar huuñ magar qatra-numā huuñ
ḳhudā se mil ke ḳhud maiñ aa gayā huuñ
ab ā.īne ko sajda kar rahā huuñ
tumheñ bhī dost apnā jāntā huuñ
baḌī ḳhush-fahmiyoñ meñ mubtalā huuñ
junūñ huuñ yā ḳhirad kī intihā huuñ
na samjhā aaj tak ḳhud bhī maiñ kyā huuñ
haqīqat ko fasāna kaise kah duuñ
fasāne ko haqīqat kah chukā huuñ
zamāna mujh meñ ḳhud ko dekhtā hai
hazāroñ sūratoñ kā aa.ina huuñ
sarab-e-zist mein simTa hua hun
samundar hun magar qatra-numa hun
KHuda se mil ke KHud main aa gaya hun
ab aaine ko sajda kar raha hun
tumhein bhi dost apna jaanta hun
baDi KHush-fahmiyon mein mubtala hun
junun hun ya KHirad ki intiha hun
na samjha aaj tak KHud bhi main kya hun
haqiqat ko fasana kaise kah dun
fasane ko haqiqat kah chuka hun
zamana mujh mein KHud ko dekhta hai
hazaron suraton ka aaina hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.