sarab hai ki nahin kyon janab hai ki nahin
sarāb hai ki nahīñ kyoñ janāb hai ki nahīñ
hamārī zindagī misl-e-habāb hai ki nahīñ
hamārī baat kā nāseh javāb hai ki nahīñ
gunāh-e-ishq pe koī azaab hai ki nahīñ
sabaq paḌheñge mohabbat kā tujh se par ye batā
tirī kitāb meñ sūkhā gulāb hai kī nahīñ
sabaq kyoñ amn kā ham hī paḌheñ kitāboñ meñ
tumhāre paas bhī koī kitāb hai ki nahīñ
milāvaToñ se hameñ hai gurez ai saaqī
hamāre vāste ḳhālis sharāb hai ki nahīñ
azāb-e-duniyā se mar kar to chhūT jā.eñge
jahāñ meñ jiinā musalsal azaab hai ki nahīñ
ai ishq tū ne mujhe jis tarah ḳharāb kiyā
mirī tarah se koī aur ḳharāb hai ki nahīñ
likhā hai bāb-e-mohabbat meñ phir bhī batlā tū
nigāh-e-yār se piinā savāb hai ki nahīñ
hadoñ se baḌhne lagī sar-kashī hasīnoñ kī
na.e zamāna meñ 'dānish' hijāb hai ki nahīñ
sarab hai ki nahin kyon janab hai ki nahin
hamari zindagi misl-e-habab hai ki nahin
hamari baat ka naseh jawab hai ki nahin
gunah-e-ishq pe koi azab hai ki nahin
sabaq paDhenge mohabbat ka tujh se par ye bata
teri kitab mein sukha gulab hai ki nahin
sabaq kyon amn ka hum hi paDhen kitabon mein
tumhaare pas bhi koi kitab hai ki nahin
milawaTon se hamein hai gurez ai saqi
hamare waste KHalis sharab hai ki nahin
azab-e-duniya se mar kar to chhuT jaenge
jahan mein jina musalsal azab hai ki nahin
ai ishq tu ne mujhe jis tarah KHarab kiya
meri tarah se koi aur KHarab hai ki nahin
likha hai bab-e-mohabbat mein phir bhi batla tu
nigah-e-yar se pina sawab hai ki nahin
hadon se baDhne lagi sar-kashi hasinon ki
nae zamana mein 'danish' hijab hai ki nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.