sarapa dard hai har lafz us ghamgin kahani ka
sarāpā dard hai har lafz us ġhamgīñ kahānī kā
na qissa sun sakoge tum mirī shām-e-javānī kā
vahī jān-e-hazīñ merī jo niklī thī mohabbat meñ
badal kar bhes aa.ī hai hayāt-e-jāvedānī kā
purāne ho chuke haiñ lailā-o-majnūñ ke afsāne
suno to maiñ sunā.ūñ ik nayā TukḌā kahānī kā
naqāb-e-ruḳh ulaT kar aa nikal aa aaj parde se
mirī nazroñ ne zimma le liyā hai pāsbānī kā
sitam dekho zarā kaisī ye ulTī rasm-e-duniyā hai
ki dete haiñ yahāñ gulchīñ ko ohda bāġhbānī kā
na jāneñ ḳhud-baḳhud kyoñ aañkh meñ aañsū bhar aate haiñ
koī jab naam le detā hai ai 'fāzil' javānī kā
sarapa dard hai har lafz us ghamgin kahani ka
na qissa sun sakoge tum meri sham-e-jawani ka
wahi jaan-e-hazin meri jo nikli thi mohabbat mein
badal kar bhes aai hai hayat-e-jawedani ka
purane ho chuke hain laila-o-majnun ke afsane
suno to main sunaun ek naya TukDa kahani ka
naqab-e-ruKH ulaT kar aa nikal aa aaj parde se
meri nazron ne zimma le liya hai pasbani ka
sitam dekho zara kaisi ye ulTi rasm-e-duniya hai
ki dete hain yahan gulchin ko ohda baghbani ka
na jaanen KHud-baKHud kyon aankh mein aansu bhar aate hain
koi jab nam le deta hai ai 'fazil' jawani ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.