sarapa mehrbani ho gaya kya
sarāpā mehrbānī ho gayā kyā
farishta āsmānī ho gayā kyā
bahāyā jā rahā hai roz is ko
hamārā ḳhuun paanī ho gayā kyā
mirā lāsha uThā ke sar pe apne
tirā pata bhī paanī ho gayā kyā
mirā bhaa.ī liye phirtā hai ḳhanjar
asīr-e-bad-gumānī ho gayā kyā
mehrbāñ ho ga.ī kuchh zar key devī
to phir vo ḳhāndānī ho gayā kyā
'nasīm' apnā bhī ik kirdār jo thā
vo ab qissa kahānī ho gayā kyā
sarapa mehrbani ho gaya kya
farishta aasmani ho gaya kya
bahaya ja raha hai roz is ko
hamara KHun pani ho gaya kya
mera lasha uTha ke sar pe apne
tera pata bhi pani ho gaya kya
mera bhai liye phirta hai KHanjar
asir-e-bad-gumani ho gaya kya
mehrban ho gai kuchh zar key dewi
to phir wo KHandani ho gaya kya
'nasim' apna bhi ek kirdar jo tha
wo ab qissa kahani ho gaya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.