sarapa rang banen sarf-e-mushkbu ho jaen
sarāpā rang baneñ sarf-e-mushkbū ho jaa.eñ
harīm-e-nāz se guzreñ lahū lahū ho jaa.eñ
talab kā nashsha sadā mast-e-alast rakhtā hai
bas ek aarzū ham bhī tire kabhū ho jaa.eñ
ye dasht-o-sahrā haiñ kyā shahr kyā ye bastī kyā
gharoñ ko apne tajeñ mahv-e-justujū ho jaa.eñ
ye kyā ki shor-e-tarab-zār meñ raheñ gum-sum
ye kyā butoñ kī tarah nazr-e-hā-o-hū ho jaa.eñ
mile na tum hī na ham aur hī kisī ke hue
yahī bachā hai ki ab apne hī 'adū ho jaa.eñ
sarapa rang banen sarf-e-mushkbu ho jaen
harim-e-naz se guzren lahu lahu ho jaen
talab ka nashsha sada mast-e-alast rakhta hai
bas ek aarzu hum bhi tere kabhu ho jaen
ye dasht-o-sahra hain kya shahr kya ye basti kya
gharon ko apne tajen mahw-e-justuju ho jaen
ye kya ki shor-e-tarab-zar mein rahen gum-sum
ye kya buton ki tarah nazr-e-ha-o-hu ho jaen
mile na tum hi na hum aur hi kisi ke hue
yahi bacha hai ki ab apne hi 'adu ho jaen
- Book : Jism Ka Bartan Sard Pada Hai (Pg. 70)
- Author : Ameer Hamza Saqib
- Publication : Rekhta Publications (2019)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.