sard aahon ne mere zaKHmon ko aabaad kiya
sard aahon ne mere zaKHmon ko aabaad kiya
Nawab Moazzam Jah Shaji
MORE BYNawab Moazzam Jah Shaji
sard aahoñ ne mire zaḳhmoñ ko ābād kiyā
dil kī choToñ ne jo rah rah ke tujhe yaad kiyā
mehrbānī mire sayyād kī dekhe koī
jab ḳhizāñ aa.ī mujhe qaid se āzād kiyā
mahfil-e-nāz se laayā jo yahāñ tak un ko
tū ne ye kaam ajab ai dil-e-nāshād kiyā
mai-kashoñ ne use saaqī kā ishāra samjhā
jhuk ke shīshe ne jo sāġhar se kuchh irshād kiyā
dil-e-betāb ko mushkil se sambhālā thā magar
zabt-e-ġham ne mujhe āmāda-e-fariyād kiyā
kaam jab kuchh na banā ishq kī nākāmī se
dard ne aap ko sharminda-e-be-dād kiyā
ḳhud mujhe bhī nahīñ barbādī kā ehsās 'shajī.a'
is salīqe se kisī ne mujhe barbād kiyā
sard aahon ne mere zaKHmon ko aabaad kiya
dil ki choTon ne jo rah rah ke tujhe yaad kiya
mehrbani mere sayyaad ki dekhe koi
jab KHizan aai mujhe qaid se aazad kiya
mahfil-e-naz se laya jo yahan tak un ko
tu ne ye kaam ajab ai dil-e-nashad kiya
mai-kashon ne use saqi ka ishaara samjha
jhuk ke shishe ne jo saghar se kuchh irshad kiya
dil-e-betab ko mushkil se sambhaala tha magar
zabt-e-gham ne mujhe aamada-e-fariyaad kiya
kaam jab kuchh na bana ishq ki nakaami se
dard ne aap ko sharminda-e-be-dad kiya
KHud mujhe bhi nahin barbaadi ka ehsas 'shajia'
is saliqe se kisi ne mujhe barbaad kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.