sard mausam hai bahut hijr ka aazar bhi hai
sard mausam hai bahut hijr kā āzār bhī hai
kyā kaheñ tujh se ye dil ġham meñ giraftār bhī hai
kaise kah duuñ kī tire baa'd mujhe chain paḌā
sub.h ġhamgīn mirī raat dil-āzār bhī hai
zindagī kahtī hai Thahro na baḌho aur baḌho
manzileñ duur haiñ aur rāsta dushvār bhī hai
na.ī ta.amīr kā saudā hai sar-o-dil meñ magar
sāmne sahn kī girtī huī dīvār bhī hai
merā maddāh mire fan se nahīñ shahr kā shahr
ḳhud kī pahchān meñ kirdār kā kirdār bhī hai
har kisī se nahīñ miltā huuñ maiñ jhuk kar 'shauqī'
darmiyāñ apne koī chiiz ye me.aar bhī hai
sard mausam hai bahut hijr ka aazar bhi hai
kya kahen tujh se ye dil gham mein giraftar bhi hai
kaise kah dun ki tere ba'd mujhe chain paDa
subh ghamgin meri raat dil-azar bhi hai
zindagi kahti hai Thahro na baDho aur baDho
manzilen dur hain aur rasta dushwar bhi hai
nai tamir ka sauda hai sar-o-dil mein magar
samne sahn ki girti hui diwar bhi hai
mera maddah mere fan se nahin shahr ka shahr
KHud ki pahchan mein kirdar ka kirdar bhi hai
har kisi se nahin milta hun main jhuk kar 'shauqi'
darmiyan apne koi chiz ye mear bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.