sard mausam ka sar-e-sham taqaza kya hai
sard mausam kā sar-e-shām taqāzā kyā hai
phir kisī harf-e-mukarrar ne pukārā kyā hai
ye bhī ik umr-e-ravāñ kī hai hikāyat shāyad
chaḌhte sūraj kā Dhalī shaam se rishta kyā hai
ek sad-barg se manzar kī hunar-kārī sā
shahr meñ aaj tire ishq kā charchā kyā hai
phir dabe paañv guzar hī ga.ī raunaq dil kī
nukta-dāñ aaj mire ġham kā mudāvā kyā hai
tum nahīñ soch meñ ġharqāb na sahī ye to batāo
aañkh par ek sitāra sā chamaktā kyā hai
gumrahī hī ne na.ī raah batā.ī ab tak
dekh ujāloñ meñ chamaktā sā añdherā kyā hai
ik masāfat kī thakan hī meñ musallam goyā
phir kabhī duur kī manzil ne pukārā kyā hai
dard phir aaj ḳhirāmāñ hai na.ī saj-dhaj se
dil meñ maazī kā ye khultā sā darīcha kyā hai
phir kisī harf-e-hidāyat kī tarah bojhal sā
simTe simTe se savāboñ kā ye samra kyā hai
sard mausam ka sar-e-sham taqaza kya hai
phir kisi harf-e-mukarrar ne pukara kya hai
ye bhi ek umr-e-rawan ki hai hikayat shayad
chaDhte suraj ka Dhali sham se rishta kya hai
ek sad-barg se manzar ki hunar-kari sa
shahr mein aaj tere ishq ka charcha kya hai
phir dabe panw guzar hi gai raunaq dil ki
nukta-dan aaj mere gham ka mudawa kya hai
tum nahin soch mein gharqab na sahi ye to batao
aankh par ek sitara sa chamakta kya hai
gumrahi hi ne nai rah batai ab tak
dekh ujalon mein chamakta sa andhera kya hai
ek masafat ki thakan hi mein musallam goya
phir kabhi dur ki manzil ne pukara kya hai
dard phir aaj KHiraman hai nai saj-dhaj se
dil mein mazi ka ye khulta sa daricha kya hai
phir kisi harf-e-hidayat ki tarah bojhal sa
simTe simTe se sawabon ka ye samra kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.