sard mausam mein kidhar jaun nikal kar ghar se
sard mausam mein kidhar jaun nikal kar ghar se
Zarqa Naseem Ghalib
MORE BYZarqa Naseem Ghalib
sard mausam meñ kidhar jā.ūñ nikal kar ghar se
ye galī dhuup kā sarmāya gañvā baiThī hai
ab ke kis karb kī gulshan meñ bahār aa.ī hai
habs pahlū meñ liye bād-e-sabā baiThī hai
apnī āvāz kā jaadū na jagā.ūñ kyūñkar
ek koyal jo mire kāñdhe pe aa baiThī hai
ye jo chiḌiyā mere āñgan meñ chahaktī thī sadā
kaun se peḌ kī Tahnī pe vo jā baiThī hai
us kī rotī huī āñkhoñ se patā chaltā hai
apne mahbūb se ho kar vo judā baiThī hai
hai tirā fan tire dukh-dard pe ġhālib 'zarqā'
ban ke mahfil meñ tū tasvīr-e-vafā baiThī hai
sard mausam mein kidhar jaun nikal kar ghar se
ye gali dhup ka sarmaya ganwa baiThi hai
ab ke kis karb ki gulshan mein bahaar aai hai
habs pahlu mein liye baad-e-saba baiThi hai
apni aawaz ka jadu na jagaun kyunkar
ek koyal jo mere kandhe pe aa baiThi hai
ye jo chiDiya mere aangan mein chahakti thi sada
kaun se peD ki Tahni pe wo ja baiThi hai
us ki roti hui aankhon se pata chalta hai
apne mahbub se ho kar wo juda baiThi hai
hai tera fan tere dukh-dard pe ghaalib 'zarqa'
ban ke mahfil mein tu taswir-e-wafa baiThi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.