sard-mehr logon se shoKHiyan nahin rakhna
sard-mehr logoñ se shoḳhiyāñ nahīñ rakhnā
rābte baḌhā.eñ to talḳhiyāñ nahīñ rakhnā
har taraf zamāne ke kaan kār-farmā haiñ
aa.ine kī muTThī meñ hichkiyāñ nahīñ rakhnā
kaun kitnā muḳhlis hai vaqt ḳhud batā degā
dost aur dushman kī gintiyāñ nahīñ rakhnā
us safar se aakar phir ik safar salāmat hai
āsmān se kah do saḳhtiyāñ nahīñ rakhnā
ghūñT ghūñT pī lenā hijr ko mohabbat meñ
ishq kī adālat meñ peshiyāñ nahīñ rakhnā
jis se bhī kahīñ milnā muskurā ke mil lenā
zaat ke jazīre meñ talḳhiyāñ nahīñ rakhnā
jis ke sard lahje meñ silvaTeñ numāyāñ hoñ
dekho aise qadmoñ meñ pagḌiyāñ nahīñ rakhnā
sard-mehr logon se shoKHiyan nahin rakhna
rabte baDhaen to talKHiyan nahin rakhna
har taraf zamane ke kan kar-farma hain
aaine ki muTThi mein hichkiyan nahin rakhna
kaun kitna muKHlis hai waqt KHud bata dega
dost aur dushman ki gintiyan nahin rakhna
us safar se aakar phir ek safar salamat hai
aasman se kah do saKHtiyan nahin rakhna
ghunT ghunT pi lena hijr ko mohabbat mein
ishq ki adalat mein peshiyan nahin rakhna
jis se bhi kahin milna muskura ke mil lena
zat ke jazire mein talKHiyan nahin rakhna
jis ke sard lahje mein silwaTen numayan hon
dekho aise qadmon mein pagDiyan nahin rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.