sargarm-e-safar to hun lekin manzil ka nishan malum nahin
sargarm-e-safar to hun lekin manzil ka nishan malum nahin
Ahmar Gorakhpuri
MORE BYAhmar Gorakhpuri
sargarm-e-safar to huuñ lekin manzil kā nishāñ ma.alūm nahīñ
uThne ko to uTThe haiñ ye qadam jaanā hai kahāñ ma.alūm nahīñ
shādābi-e-gulshan kā manzar hai zehn meñ to mahfūz magar
kab shāḳh jalī kab phuul luTe kab aa.ī ḳhizāñ ma.alūm nahīñ
kaḌkan bhī fazā meñ jaarī hai kauñde bhī lapakte jaate haiñ
lahrā ke giregī kis kis par ye barq-e-tapāñ ma.alūm nahīñ
ham dasht-nashīñ haiñ gulshan kī rangīn fazā.eñ kyā jāneñ
kāñToñ kī to bastī dekhī hai phūloñ kā jahāñ ma.alūm nahīñ
pyāsā hai mirī hī tarah magar pyaas apnī bujhāne kī ḳhātir
jaatā hai kahāñ dhīre dhīre ye abr-e-ravāñ ma.alūm nahīñ
har saañs ke nāzuk vaqfa par dam le ke ye chaltī hai 'ahmar'
Thahregī magar kis manzil par ye umr-e-ravāñ ma.alūm nahīñ
sargarm-e-safar to hun lekin manzil ka nishan malum nahin
uThne ko to uTThe hain ye qadam jaana hai kahan malum nahin
shadabi-e-gulshan ka manzar hai zehn mein to mahfuz magar
kab shaKH jali kab phul luTe kab aai KHizan malum nahin
kaDkan bhi faza mein jari hai kaunde bhi lapakte jate hain
lahra ke giregi kis kis par ye barq-e-tapan malum nahin
hum dasht-nashin hain gulshan ki rangin fazaen kya jaanen
kanTon ki to basti dekhi hai phulon ka jahan malum nahin
pyasa hai meri hi tarah magar pyas apni bujhane ki KHatir
jata hai kahan dhire dhire ye abr-e-rawan malum nahin
har sans ke nazuk waqfa par dam le ke ye chalti hai 'ahmar'
Thahregi magar kis manzil par ye umr-e-rawan malum nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.