sargoshiyan karenge hawaon ke kan mein
sargoshiyāñ kareñge havāoñ ke kaan meñ
ab sher ham kaheñge jazīroñ kī shaan meñ
jalne lagī haiñ sāñseñ harārat se itnī kyoñ
pūchhā ye ik parind ne mujh se uḌaan meñ
sho.ale nikal rahe haiñ sahārā ke dasht se
ātish-fishāñ ke dhabbe haiñ girtī chaTān meñ
ḳhatre meñ hai ye qīmtī hīroñ kī sarzamīn
baiThe haiñ nā-bakār se dushman machān meñ
lamhāt kitne baaqī haiñ sūraj kī maut meñ
kab tak rahegā tiir bhī āḳhir kamān meñ
rahtā ho jin makīnoñ ko har dam fanā kā ḳhauf
kyā zindagī kareñge vo aise makān meñ
sargoshiyan karenge hawaon ke kan mein
ab sher hum kahenge jaziron ki shan mein
jalne lagi hain sansen hararat se itni kyon
puchha ye ek parind ne mujh se uDan mein
shoale nikal rahe hain sahaara ke dasht se
aatish-fishan ke dhabbe hain girti chaTan mein
KHatre mein hai ye qimti hiron ki sarzamin
baiThe hain na-bakar se dushman machan mein
lamhat kitne baqi hain suraj ki maut mein
kab tak rahega tir bhi aaKHir kaman mein
rahta ho jin makinon ko har dam fana ka KHauf
kya zindagi karenge wo aise makan mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.