sarhad-e-kaun-o-makan se la-makan le jaega
sarhad-e-kaun-o-makāñ se lā-makāñ le jā.egā
jab zamīñ chhoḌegī ham ko āsmāñ le jā.egā
raat se qaa.em haiñ un ke saa.e kī ḳhush-fahmiyāñ
jab chaḌhā sūraj to saare sā.ebāñ le jā.egā
ham hisār-e-zāt se nikle to haiñ par dekhiye
TuuT kar ḳhud se bikharnā ab kahāñ le jā.egā
ḳhāmushī hī ḳhāmushī ke karb kā iz.hār ho
lafz ḳhāmoshī se lutf-e-dāstāñ le jā.egā
dil kī ḳhushbū se hai zinda un ke rangoñ kī dhanak
vaqt saarī ḳhvāhishoñ kī titliyāñ le jā.egā
sarhad-e-kaun-o-makan se la-makan le jaega
jab zamin chhoDegi hum ko aasman le jaega
raat se qaem hain un ke sae ki KHush-fahmiyan
jab chaDha suraj to sare saeban le jaega
hum hisar-e-zat se nikle to hain par dekhiye
TuT kar KHud se bikharna ab kahan le jaega
KHamushi hi KHamushi ke karb ka izhaar ho
lafz KHamoshi se lutf-e-dastan le jaega
dil ki KHushbu se hai zinda un ke rangon ki dhanak
waqt sari KHwahishon ki titliyan le jaega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.