sarishk-e-KHun sar-e-mizhgan kabhi piroe na the
sarishk-e-ḳhūñ sar-e-mizhgāñ kabhī piro.e na the
ham itnā hañsne ke ba.ad is tarah se ro.e na the
sitam ye hai ki vo ḳhurshīd kāTne aa.e
tamām umr sitāre jinhoñ ne bo.e na the
ab aap apnī tamannāoñ se huuñ sharminda
ye daaġh vo haiñ jo maiñ ne lahū se dho.e na the
bahe vo ashk ki ġharqāb ho ga.iiñ āñkheñ
safīne is tarah ham ne kabhī Dubo.e na the
charāġh laao koī āftāb hī DhūñDeñ
ham is qadar kabhī tārīkiyoñ meñ kho.e na the
ik āh-e-sard ke ba.ad āñkheñ muuñd liiñ 'mohsin'
ye kyā huā kabhī ThanDī havā meñ so.e na the
sarishk-e-KHun sar-e-mizhgan kabhi piroe na the
hum itna hansne ke baad is tarah se roe na the
sitam ye hai ki wo KHurshid kaTne aae
tamam umr sitare jinhon ne boe na the
ab aap apni tamannaon se hun sharminda
ye dagh wo hain jo main ne lahu se dhoe na the
bahe wo ashk ki gharqab ho gain aankhen
safine is tarah hum ne kabhi Duboe na the
charagh lao koi aaftab hi DhunDen
hum is qadar kabhi tarikiyon mein khoe na the
ek aah-e-sard ke baad aankhen mund lin 'mohsin'
ye kya hua kabhi ThanDi hawa mein soe na the
- Book : naquush (Pg. 261)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.