sarkar-e-do-jahan hain sardar ambiya ke
sarkār-e-do-jahāñ haiñ sardār ambiyā ke
taḳhlīq kā haiñ baa.is mahbūb haiñ ḳhudā ke
me.arāj kī thī jo shab parde meñ us ne dekhe
rāz-o-niyāz jaise bande ke aur ḳhudā ke
mid.hat unhīñ kī lab pe jaarī rahe hamesha
hoñToñ tak aa ga.e haiñ kuchh lafz ye duā ke
vo amn-o-āshatī kā paiġhām le ke aa.e
sar-basta raaz khole allāh kī razā ke
insāniyat ko jiinā sikhlā diyā unhīñ ne
batlā diye qarīne insān ko baqā ke
maut aur zindagī ke matlab badal diye haiñ
āl-e-nabī ne jaise karb-o-balā meñ aa ke
sarkar-e-do-jahan hain sardar ambiya ke
taKHliq ka hain bais mahbub hain KHuda ke
mearaj ki thi jo shab parde mein us ne dekhe
raaz-o-niyaz jaise bande ke aur KHuda ke
midhat unhin ki lab pe jari rahe hamesha
honTon tak aa gae hain kuchh lafz ye dua ke
wo amn-o-ashati ka paigham le ke aae
sar-basta raaz khole allah ki raza ke
insaniyat ko jina sikhla diya unhin ne
batla diye qarine insan ko baqa ke
maut aur zindagi ke matlab badal diye hain
aal-e-nabi ne jaise karb-o-bala mein aa ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.