sarmaya-e-azmat hai bulandi ka nishan hai
sarmāya-e-'azmat hai bulandī kā nishāñ hai
har 'azm mirā apnī jagah koh-e-girāñ hai
vahshat mire is shahr meñ yuuñ raqs-kunāñ hai
har kūcha-o-bāzār pe sahrā kā gumāñ hai
ik qissa-e-pārīna huā ‘ahd-e-ġhulāmī
insāñ kī ġhulāmī kā vo ab 'ahd kahāñ hai
insān ko insān kā haq denā hī hogā
ye vaqt kā manshā hai taqāzā-e-jahāñ hai
ik sub.h-e-daraḳhshāñ kā tasavvur jo abhī tak
ehsās kī mānind mire dil meñ javāñ hai
manzil kā ta’ayyun nahīñ mumkin ki mirā zehn
nādīda bahāroñ ke ta'āqub meñ ravāñ hai
jis shaḳhs ne tārīḳh ko 'unvān diye the
vo shaḳhs tire shahr meñ benām-o-nishāñ hai
nā-qadr-shanāsī hai muqaddar tirā fankār
ye mātam-e-fan marsiya-e-kam-nazarāñ hai
chehre pe likhī hai mire hālāt kī tasvīr
paḌh lo mirā chehra ki har ik baat 'ayāñ hai
'bāsit' tujhe manzil to bahar-hāl milegī
kuchh ġham nahīñ jo raah meñ ġhauġhā-e-sagāñ hai
sarmaya-e-'azmat hai bulandi ka nishan hai
har 'azm mera apni jagah koh-e-giran hai
wahshat mere is shahr mein yun raqs-kunan hai
har kucha-o-bazar pe sahra ka guman hai
ek qissa-e-parina hua ‘ahd-e-ghulami
insan ki ghulami ka wo ab 'ahd kahan hai
insan ko insan ka haq dena hi hoga
ye waqt ka mansha hai taqaza-e-jahan hai
ek subh-e-daraKHshan ka tasawwur jo abhi tak
ehsas ki manind mere dil mein jawan hai
manzil ka ta’ayyun nahin mumkin ki mera zehn
nadida bahaaron ke ta'aqub mein rawan hai
jis shaKHs ne tariKH ko 'unwan diye the
wo shaKHs tere shahr mein benam-o-nishan hai
na-qadr-shanasi hai muqaddar tera fankar
ye matam-e-fan marsiya-e-kam-nazaran hai
chehre pe likhi hai mere haalat ki taswir
paDh lo mera chehra ki har ek baat 'ayan hai
'basit' tujhe manzil to bahar-haal milegi
kuchh gham nahin jo rah mein ghaugha-e-sagan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.