sarmaya-e-jaan hain shah-e-abrar ki baaten
sarmāya-e-jāñ haiñ shah-e-abrār kī bāteñ
kis darja sukūñ detī haiñ sarkār kī bāteñ
karte haiñ karam sab pe ki aadat hai ye un kī
sunte haiñ vafādār-o-ḳhatā-kār kī bāteñ
haañ kaise haiñ vo kūcha-o-bāzār vo galiyāñ
kuchh aur karo shahr-e-pur-anvār kī bāteñ
haañ kaise barastā hai vahāñ nuur kā bādal
kuchh aur karo gumbad-e-zau-bār kī bāteñ
haañ kaise ġhubār-e-dil-o-jāñ dhultā hai zaa.er
kuchh aur karo abr-e-guhar-bār kī bāteñ
haañ kaise vahāñ chaltī haiñ tham tham ke havā.eñ
kuchh aur machaltī huī mahkār kī bāteñ
jī chāhe ki har aan sunūñ zikr-e-payambar
hotī raheñ kaunain ke sardār kī bāteñ
sarmaya-e-jaan hain shah-e-abrar ki baaten
kis darja sukun deti hain sarkar ki baaten
karte hain karam sab pe ki aadat hai ye un ki
sunte hain wafadar-o-KHata-kar ki baaten
han kaise hain wo kucha-o-bazar wo galiyan
kuchh aur karo shahr-e-pur-anwar ki baaten
han kaise barasta hai wahan nur ka baadal
kuchh aur karo gumbad-e-zau-bar ki baaten
han kaise ghubar-e-dil-o-jaan dhulta hai zaer
kuchh aur karo abr-e-guhar-bar ki baaten
han kaise wahan chalti hain tham tham ke hawaen
kuchh aur machalti hui mahkar ki baaten
ji chahe ki har aan sunun zikr-e-payambar
hoti rahen kaunain ke sardar ki baaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.