sarmaya-e-nashat-e-tamanna liye hue
sarmāya-e-nashāt-e-tamanna liye hue
baiThā huuñ dil meñ dard kī duniyā liye hue
dil ko malāl-e-hasrat-e-dīdār hī rahā
sad.hā nuqūsh-e-chehra-e-zebā liye hue
māyūsiyoñ meñ Duub gayā dil hazār-haif
ik kaif-e-musta.ār-e-tamanna liye hue
achchhī nibhī kisī se rah-o-rasm-e-dostī
sad-hīla-hā.e ranjish-e-bejā liye hue
āñkhoñ meñ ḳhūn-e-hasrat-e-dīdār-e-yār hai
rang-e-jamāl chehra-e-zebā liye hue
tai ho gayā hai marhala-e-qurb-o-infisāl
nāzuk sā ek va.ada-e-fardā liye hue
hai aaj bhī laboñ pe vahī iltijā-e-ḳhās
muhr-e-sukūt-e-husn-e-taqāzā liye hue
hirmān-o-yās-o-hasrat-o-nākāmī-e-mudām
ye ek jān-e-zār hai kyā kyā liye hue
'ahmar' kise ḳhabar thī ki uTh ā.eñge yūñhī
mahfil se un kī un kī tamanna liye hue
sarmaya-e-nashat-e-tamanna liye hue
baiTha hun dil mein dard ki duniya liye hue
dil ko malal-e-hasrat-e-didar hi raha
sadha nuqush-e-chehra-e-zeba liye hue
mayusiyon mein Dub gaya dil hazar-haif
ek kaif-e-mustaar-e-tamanna liye hue
achchhi nibhi kisi se rah-o-rasm-e-dosti
sad-hila-hae ranjish-e-beja liye hue
aankhon mein KHun-e-hasrat-e-didar-e-yar hai
rang-e-jamal chehra-e-zeba liye hue
tai ho gaya hai marhala-e-qurb-o-infisal
nazuk sa ek wada-e-farda liye hue
hai aaj bhi labon pe wahi iltija-e-KHas
muhr-e-sukut-e-husn-e-taqaza liye hue
hirman-o-yas-o-hasrat-o-nakaami-e-mudam
ye ek jaan-e-zar hai kya kya liye hue
'ahmar' kise KHabar thi ki uTh aaenge yunhi
mahfil se un ki un ki tamanna liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.