saron pe dhup ka ek saeban rahne de
saroñ pe dhuup kā ik sā.ebān rahne de
zamīñ rahe na rahe āsmān rahne de
maiñ āgahī kī fasīloñ ko chuum aayā huuñ
mire ḳhudā tū mujhe be-zabān rahne de
amīr-e-shahr kā aivān kaañp uTThegā
ġharīb-e-shahr huuñ merā bayān rahne de
mire ḳhudā tire dozaḳh ko ḳhuld samjhūñgā
maiñ ik bashar huuñ mirā imtihān rahne de
mahak to gul kī har ik samt jā.egī 'sā.ib'
vo chāhtā hai tujhe ye gumān rahne de
saron pe dhup ka ek saeban rahne de
zamin rahe na rahe aasman rahne de
main aagahi ki fasilon ko chum aaya hun
mere KHuda tu mujhe be-zaban rahne de
amir-e-shahr ka aiwan kanp uTThega
gharib-e-shahr hun mera bayan rahne de
mere KHuda tere dozaKH ko KHuld samjhunga
main ek bashar hun mera imtihan rahne de
mahak to gul ki har ek samt jaegi 'saib'
wo chahta hai tujhe ye guman rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.