sarsabz hai jo mausam-e-gul mein chaman tamam
sarsabz hai jo mausam-e-gul mein chaman tamam
Abul Baqa Sabr Saharanpuri
MORE BYAbul Baqa Sabr Saharanpuri
sarsabz hai jo mausam-e-gul meñ chaman tamām
apnā bhī chāk-chāk huā pairahan tamām
hastī meñ bhī to bhūlā na ahl-e-adam ko maiñ
ġhurbat meñ yaad aa.e mujhe ham-vatan tamām
ḳhush-e'tiqād ho ga.e us but ko dekh kar
zunnār toḌ Dāleñge ab barhaman tamām
hastī meñ jo adam se na aa.e vo ḳhuub hai
jo aa.egā uThā.egā ranj-o-mehan tamām
maiñ bad-nasīb shūmī-e-qismat se rah gayā
pahuñchā huuñ kab jab uTh ga.ī vo anjuman tamām
ārā.ish-e-jamāl kī kamsin ko kyā tamīz
uljhī hai us kī zulf-e-shikan-dar-shikan tamām
shāyad chaman meñ āmad-e-fasl-e-bahār hai
phir ho ga.e hare mire zaḳhm-e-kuhan tamām
soz-e-darūñ ke zabt kā yaarā nahīñ rahā
māmūr ābloñ se hai apnā dahan tamām
derīna ḳhum agar hai to hai āsmān-e-pīr
is meñ bharī huī hai sharāb-e-kuhan tamām
gul kyā sivā ho us se kahīñ nāzukī meñ tum
ā.īne se hai saaf tumhārā badan tamām
allāh andalīb huuñ maiñ kis qimāsh kā
gul is chaman ke mujh pe haiñ kyoñ ḳhanda-zan tamām
sad-shukr banda hirs-o-havā kā nahīñ huuñ maiñ
hamrāh le ke jā.ūñgā do gaz kafan tamām
afsos jān-e-shīrīñ kī parvā na kuchh bhī kī
teshe se apnā kaam kiyā kohkan tamām
dīvāne ho ga.e tire vahshī ko dekh kar
jangal meñ apnī chaukḌī bhūle hiran tamām
saudā jo 'sabr' mujh ko hai mizhgān-e-yār kā
nashtar hī ban ga.e haiñ mire mū-e-tan tamām
sarsabz hai jo mausam-e-gul mein chaman tamam
apna bhi chaak-chaak hua pairahan tamam
hasti mein bhi to bhula na ahl-e-adam ko main
ghurbat mein yaad aae mujhe ham-watan tamam
KHush-e'tiqad ho gae us but ko dekh kar
zunnar toD Dalenge ab barhaman tamam
hasti mein jo adam se na aae wo KHub hai
jo aaega uThaega ranj-o-mehan tamam
main bad-nasib shumi-e-qismat se rah gaya
pahuncha hun kab jab uTh gai wo anjuman tamam
aaraish-e-jamal ki kamsin ko kya tamiz
uljhi hai us ki zulf-e-shikan-dar-shikan tamam
shayad chaman mein aamad-e-fasl-e-bahaar hai
phir ho gae hare mere zaKHm-e-kuhan tamam
soz-e-darun ke zabt ka yara nahin raha
mamur aablon se hai apna dahan tamam
derina KHum agar hai to hai aasman-e-pir
is mein bhari hui hai sharab-e-kuhan tamam
gul kya siwa ho us se kahin nazuki mein tum
aaine se hai saf tumhaara badan tamam
allah andalib hun main kis qimash ka
gul is chaman ke mujh pe hain kyon KHanda-zan tamam
sad-shukr banda hirs-o-hawa ka nahin hun main
hamrah le ke jaunga do gaz kafan tamam
afsos jaan-e-shirin ki parwa na kuchh bhi ki
teshe se apna kaam kiya kohkan tamam
diwane ho gae tere wahshi ko dekh kar
jangal mein apni chaukDi bhule hiran tamam
sauda jo 'sabr' mujh ko hai mizhgan-e-yar ka
nashtar hi ban gae hain mere mu-e-tan tamam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.