sarsabz hain kabhi to kabhi hain salib rang
sarsabz haiñ kabhī to kabhī haiñ salīb rang
āñkhoñ ke ird-gird meñ kyā kyā ajiib rang
fitrat khulī to lagne lage sab raqīb rang
chehre dikhā.ī dete the jin ke habīb rang
terī fasurdagī kī ḳhabar aam kyā huī
aa.e na bhuul kar bhī chaman ke qarīb rang
hai kab se intizār meñ ik sar-burīda shāḳh
kis din jagāne ā.eñge us kā nasīb rang
bikhre haiñ duur duur talak naqsh raat ke
zulmat meñ kho ga.e haiñ sahar ke naqīb rang
be-chehragī kā shauq mubārak ho aap ko
rahne deñ mere paas mire bad-nasīb rang
sarsabz hain kabhi to kabhi hain salib rang
aankhon ke ird-gird mein kya kya ajib rang
fitrat khuli to lagne lage sab raqib rang
chehre dikhai dete the jin ke habib rang
teri fasurdagi ki KHabar aam kya hui
aae na bhul kar bhi chaman ke qarib rang
hai kab se intizar mein ek sar-burida shaKH
kis din jagane aaenge us ka nasib rang
bikhre hain dur dur talak naqsh raat ke
zulmat mein kho gae hain sahar ke naqib rang
be-chehragi ka shauq mubarak ho aap ko
rahne den mere pas mere bad-nasib rang
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.