sarsabz the huruf pa lahje mein habs tha
sarsabz the hurūf pa lahje meñ habs thā
kaise ajab mizāj kā mālik vo shaḳhs thā
phir dūsre hī din thā ajab us shajar kā haal
sabze kī in muñDeroñ pe patjhaḌ kā raqs thā
tajzīyya kartā huuñ to nadāmat hī hotī hai
dar-asal mere apne ravayyiye meñ naqs thā
go vo rahā sadā se mirā munharif magar
us kī har ek tarz pe merā hī aks thā
haa.il the dasht lafzoñ kī tafhīm meñ magar
us ke shafīq lahje meñ dhartī kā lams thā
sarsabz the huruf pa lahje mein habs tha
kaise ajab mizaj ka malik wo shaKHs tha
phir dusre hi din tha ajab us shajar ka haal
sabze ki in munDeron pe patjhaD ka raqs tha
tajziyya karta hun to nadamat hi hoti hai
dar-asal mere apne rawayyiye mein naqs tha
go wo raha sada se mera munharif magar
us ki har ek tarz pe mera hi aks tha
hail the dasht lafzon ki tafhim mein magar
us ke shafiq lahje mein dharti ka lams tha
- Book : meyaar (Pg. 372)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.