sarshaar hun saqi ki aankhon ke tasawwur se
sarshār huuñ saaqī kī āñkhoñ ke tasavvur se
hai koī ġharaz mujh ko baada se na sāġhar se
is daur meñ maiḳhāne kā nazm nirālā hai
pī kar koī bahke ham ik jur.a ko bhī tarse
kitne haiñ jo ik qatra se pyaas bujhāte haiñ
sairāb nahīñ hote kuchh log samundar se
hushiyār bahut rahnā hai aaj ke raahī ko
jitnā nahīñ rahzan se Dar utnā hai rahbar se
jur.at ke dhanī jo haiñ mai-ḳhāna hī un kā hai
jur.at na ho jis meñ vo ik jaam ko bhī tarse
us dil ko samajhnā kuchh āsān nahīñ pyāre
ye saḳht hai patthar se nāzuk hai gul-e-tar se
sochā thā na paimāna ab muñh se lagā.ūñgā
kyā ḳhair ho tauba kī jab ghir ke ghaTā barse
un se koī kah de vo ḳhud apnā muqaddar haiñ
jo log gila karte haiñ apne muqaddar se
sarshaar hun saqi ki aankhon ke tasawwur se
hai koi gharaz mujh ko baada se na saghar se
is daur mein maiKHane ka nazm nirala hai
pi kar koi bahke hum ek jura ko bhi tarse
kitne hain jo ek qatra se pyas bujhate hain
sairab nahin hote kuchh log samundar se
hushiyar bahut rahna hai aaj ke rahi ko
jitna nahin rahzan se Dar utna hai rahbar se
jurat ke dhani jo hain mai-KHana hi un ka hai
jurat na ho jis mein wo ek jam ko bhi tarse
us dil ko samajhna kuchh aasan nahin pyare
ye saKHt hai patthar se nazuk hai gul-e-tar se
socha tha na paimana ab munh se lagaunga
kya KHair ho tauba ki jab ghir ke ghaTa barse
un se koi kah de wo KHud apna muqaddar hain
jo log gila karte hain apne muqaddar se
- Book : Harf Harf Khowab (Pg. 67)
- Author : asi ramnagari
- Publication : Nasim Pathara Po. Moghalsarai (Varansi) (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.