sarson ke kheton mein apne kaghaz dhani karte karte
sarson ke kheton mein apne kaghaz dhani karte karte
Hema Kandpal Hiya
MORE BYHema Kandpal Hiya
sarsoñ ke khetoñ meñ apne kāġhaz dhānī karte karte
ġhazleñ saarī likkhī ham ne ḳhuuñ ko paanī karte karte
majbūrī ke chāval bhūne lāchārī do muTThī Daalī
ham ne khāyā ġham ko apne phir guḌ-dhānī karte karte
is duniyā meñ jo bhī bhāyā us ko ham ne ḳhud sā samjhā
ik arsa biitā hai ham ko ye nādānī karte karte
kyoñ dariyā bhar misra-e-ūlā us kī mayyat par thā royā
jis shā.ir kā dam niklā thā misra-e-sānī karte karte
pahle un se duurī rakkhī phir ḳhud hī thā iz.hār kiyā
aise dil ne chāhā un ko ānā-kānī karte karte
sab ke man kī karte karte jaane biitī kitnī sadiyāñ
ham ko to jiinā thā yaaro bas man-mānī karte karte
ġham ke mausam meñ kyoñ kar lī ham ne in ġhazloñ se yaarī
ab to saarī umr kaTegī ashk-bayānī karte karte
sarson ke kheton mein apne kaghaz dhani karte karte
ghazlen sari likkhi hum ne KHun ko pani karte karte
majburi ke chawal bhune lachaari do muTThi Dali
hum ne khaya gham ko apne phir guD-dhani karte karte
is duniya mein jo bhi bhaya us ko hum ne KHud sa samjha
ek arsa bita hai hum ko ye nadani karte karte
kyon dariya bhar misra-e-ula us ki mayyat par tha roya
jis shair ka dam nikla tha misra-e-sani karte karte
pahle un se duri rakkhi phir KHud hi tha izhaar kiya
aise dil ne chaha un ko aana-kani karte karte
sab ke man ki karte karte jaane biti kitni sadiyan
hum ko to jina tha yaro bas man-mani karte karte
gham ke mausam mein kyon kar li hum ne in ghazlon se yari
ab to sari umr kaTegi ashk-bayani karte karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.