sarzad hui thi ek KHata khel khel mein
sarzad huī thī ek ḳhatā khel khel meñ
phir maiñ asiir ho gayā paikar ke jail meñ
ab lauT kar badal ga.ī rut phuul khil ga.e
dīvār par laTaktī huī zard bel meñ
kitne samay firāq ke dohrā ga.e mujhe
kitnī ruteñ bikhar ga.iiñ do pal ke mel meñ
sho.aloñ kā raqs tujh ko nahīñ thā agar pasand
ye aag kyuuñ lagā.ī thī miTTī ke tel meñ
sarzad hui thi ek KHata khel khel mein
phir main asir ho gaya paikar ke jail mein
ab lauT kar badal gai rut phul khil gae
diwar par laTakti hui zard bel mein
kitne samay firaq ke dohra gae mujhe
kitni ruten bikhar gain do pal ke mel mein
shoalon ka raqs tujh ko nahin tha agar pasand
ye aag kyun lagai thi miTTi ke tel mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.