Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sat-guru likh ya rahim-o-ram likh

Sayyad Safdar Raza Khandvi

sat-guru likh ya rahim-o-ram likh

Sayyad Safdar Raza Khandvi

MORE BYSayyad Safdar Raza Khandvi

    sat-gurū likh rahīm-o-rām likh

    ek hai us ke hazāroñ naam likh

    āñsuoñ se hasrat-e-nākām likh

    koī ḳhat aisā bhī us ke naam likh

    gayā jo zulmatoñ ko ghol kar

    ek dariyā hai use gumnām likh

    chīḳhte lamhe sulagte roz-o-shab

    is sadī ko fitna-e-kohrām likh

    jab nazar aa.eñ tujhe jangal kaTe

    un barbādī ko qatl-e-ām likh

    uTh shahīdān-e-vatan ḳhaak se

    apnī peshānī pe un ke naam likh

    chhat uḌā kar le ga.iiñ jo āñdhiyāñ

    muflisoñ ġham-zada vo shaam likh

    diyā hai piir dargāh

    de bashārat nuur ilhām likh

    aa chilam bhar ham faqīroñ 'razā'

    phir faroġh-e-but-kada asnām likh

    sat-guru likh ya rahim-o-ram likh

    ek hai us ke hazaron nam likh

    aansuon se hasrat-e-nakaam likh

    koi KHat aisa bhi us ke nam likh

    pi gaya jo zulmaton ko ghol kar

    ek dariya hai use gumnam likh

    chiKHte lamhe sulagte roz-o-shab

    is sadi ko fitna-e-kohram likh

    jab nazar aaen tujhe jangal kaTe

    un ki barbaadi ko qatl-e-am likh

    uTh shahidan-e-watan ki KHak se

    apni peshani pe un ke nam likh

    chhat uDa kar le gain jo aandhiyan

    muflison ki gham-zada wo sham likh

    tu diya hai pir ki dargah ka

    de bashaarat nur ki ilham likh

    aa chilam bhar hum faqiron ki 'raza'

    phir farogh-e-but-kada asnam likh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now