sath-biin the sab, rahe bahar ki kai dekhte
sat.h-bīiñ the sab, rahe bāhar kī kaa.ī dekhte
log kaise mere andar kī safā.ī dekhte
us se milne kā nishāñ tak bhī nazar aatā nahīñ
ek muddat ho ga.ī rāh-e-judā.ī dekhte
ham to apnī vus.at-e-dil se bhī kosoñ duur the
tere dil tak kis tarah apnī rasā.ī dekhte
aap hī thak-hār kar apne ko behis kar liyā
zindagī kab tak tirī be-e'tinā.ī dekhte
yuuñ na kho jaate fazā-e-yās meñ duniyā ke saath
kaash apnā hī lab-o-lahja rajā.ī dekhte
dil kī majbūrī se baḌh kar koī majbūrī na thī
ham bhī kuchh karte agar ḳhud se rihā.ī dekhte
kaash dhartī par girā ḳhuuñ rañg le aatā 'riyāz'
jīte-jī ham apnī fasloñ kī kaTā.ī dekhte
sath-biin the sab, rahe bahar ki kai dekhte
log kaise mere andar ki safai dekhte
us se milne ka nishan tak bhi nazar aata nahin
ek muddat ho gai rah-e-judai dekhte
hum to apni wusat-e-dil se bhi koson dur the
tere dil tak kis tarah apni rasai dekhte
aap hi thak-haar kar apne ko behis kar liya
zindagi kab tak teri be-e'tinai dekhte
yun na kho jate faza-e-yas mein duniya ke sath
kash apna hi lab-o-lahja rajai dekhte
dil ki majburi se baDh kar koi majburi na thi
hum bhi kuchh karte agar KHud se rihai dekhte
kash dharti par gira KHun rang le aata 'riyaz'
jite-ji hum apni faslon ki kaTai dekhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.