sath-e-pas-e-darun nae naqsh laiye
sat.h-e-pas-e-darūn na.e naqsh lā.iye
mujh ko mire mizāj se behtar banā.iye
hukm-e-ġhanī se aa.e to ham aa chuke bahut
lafzoñ pe iltimās kī ḳhushbū lagā.iye
apnī anā pe zulm na kiije musāfirīn
kah kyoñ rahe haiñ aap ki jaate haiñ jā.iye
ġham panchhiyo maiñ aap kī umda ḳhurāk huuñ
ai dushmano please mujhe noch khā.iye
bahr-e-umīd-e-qurb maiñ ḳhud vasl ho chukā
kitne hī ab firāq ke qisse sunā.iye
pathrā chukā hai aap ke aane kā rāsta
palkeñ bichhā.iye ki ab āñkheñ bichhā.iye
sath-e-pas-e-darun nae naqsh laiye
mujh ko mere mizaj se behtar banaiye
hukm-e-ghani se aae to hum aa chuke bahut
lafzon pe iltimas ki KHushbu lagaiye
apni ana pe zulm na kije musafirin
kah kyon rahe hain aap ki jate hain jaiye
gham panchhiyo main aap ki umda KHurak hun
ai dushmano please mujhe noch khaiye
bahr-e-umid-e-qurb main KHud wasl ho chuka
kitne hi ab firaq ke qisse sunaiye
pathra chuka hai aap ke aane ka rasta
palken bichhaiye ki ab aankhen bichhaiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.