sau bar us se laD ke bhi har bar haarna
sau baar us se laḌ ke bhī har baar hārnā
baazī ho ishq kī to mire yaar hārnā
us se shikast khāne meñ har baar lutf hai
ik baar hārnā ho ke sau baar hārnā
vo dil pe haath rakh de agar pyaar se kabhī
dil kā yahī taqāzā hai dildār hārnā
duniyā meñ raushnī hai vafāoñ ke nuur se
ban kar kisī ke tum bhī talabgār hārnā
jin kī duāoñ se tirī hastī kamāl hai
māñ-bāp ke liye to ye sansār hārnā
hai lutf zindagī kā mohabbat kī qaid meñ
pahlū meñ un ke ho ke giraftār hārnā
rakhnā bulandiyoñ pe hamesha vaqār ko
tum jaan hārnā nahīñ dastār hārnā
aisā bhī vaqt aaya hai ahd-e-shabāb meñ
ik phuul ke liye koī gulzār hārnā
ilm-o-adab meñ ham ne ye sīkhā hai 'sāhiba'
rakh kar qalam ke sāmne talvār hārnā
sau bar us se laD ke bhi har bar haarna
bazi ho ishq ki to mere yar haarna
us se shikast khane mein har bar lutf hai
ek bar haarna ho ke sau bar haarna
wo dil pe hath rakh de agar pyar se kabhi
dil ka yahi taqaza hai dildar haarna
duniya mein raushni hai wafaon ke nur se
ban kar kisi ke tum bhi talabgar haarna
jin ki duaon se teri hasti kamal hai
man-bap ke liye to ye sansar haarna
hai lutf zindagi ka mohabbat ki qaid mein
pahlu mein un ke ho ke giraftar haarna
rakhna bulandiyon pe hamesha waqar ko
tum jaan haarna nahin dastar haarna
aisa bhi waqt aaya hai ahd-e-shabab mein
ek phul ke liye koi gulzar haarna
ilm-o-adab mein hum ne ye sikha hai 'sahiba'
rakh kar qalam ke samne talwar haarna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.