sau dagh tamannaon ke hum khae hue hain
sau daaġh tamannāoñ ke ham khaa.e hue haiñ
gul jitne haiñ is baaġh meñ murjhā.e hue haiñ
sharminda huuñ maiñ apnī duāoñ ke asar se
vo aaj pareshān haiñ ghabrā.e hue haiñ
ḳhuddārī-e-gesū kā hai us ruḳh pe ye aalam
jhuknā jo paḌā un ko to bal khaa.e hue haiñ
ab tum bhī zarā husn-e-jahāñ-soz ko roko
ham to dil-e-be-tāb ko samjhā.e hue haiñ
ai dast-e-karam pheñk de kaunain ko is meñ
dāman ko tire sāmne phailā.e hue haiñ
phoḌeñge jabīñ ab tire dar par tire muhtāj
barbād haiñ taqdīr ke Thukrā.e hue haiñ
aatā hai baḌhā bahr-e-karam josh meñ 'kaifī'
ham apne gunāhoñ pe jo sharmā.e hue haiñ
sau dagh tamannaon ke hum khae hue hain
gul jitne hain is bagh mein murjhae hue hain
sharminda hun main apni duaon ke asar se
wo aaj pareshan hain ghabrae hue hain
KHuddari-e-gesu ka hai us ruKH pe ye aalam
jhukna jo paDa un ko to bal khae hue hain
ab tum bhi zara husn-e-jahan-soz ko roko
hum to dil-e-be-tab ko samjhae hue hain
ai dast-e-karam phenk de kaunain ko is mein
daman ko tere samne phailae hue hain
phoDenge jabin ab tere dar par tere muhtaj
barbaad hain taqdir ke Thukrae hue hain
aata hai baDha bahr-e-karam josh mein 'kaifi'
hum apne gunahon pe jo sharmae hue hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.