sau jahan aur bhi hain wusat-e-aflak mein gum
sau jahāñ aur bhī haiñ vus'at-e-aflāk meñ gum
aur tū rahtā hai har vaqt yahāñ ḳhaak meñ gum
Duube rahte haiñ tirī yaad meñ ham bhī aise
kūza-gar jaise hama-vaqt rahe chaak meñ gum
uThne vaalā hai zamīñ se kisī mahshar kā ġhubār
hone vaale haiñ sitāre ḳhas-o-ḳhāshāk meñ gum
us ko dekhūñgā miyāñ jab hī thamegā tūfān
hai abhī chāñd mire dīda-e-namnāk meñ gum
raqs karte hue darvesh ko mā'lūm hai sab
kitne advār haiñ uḌtī huī is ḳhaak meñ gum
mas.ale ziist ko darpesh zamīñ par haiñ 'asar'
ham hue jaate haiñ is hairat-e-aflāk meñ gum
sau jahan aur bhi hain wus'at-e-aflak mein gum
aur tu rahta hai har waqt yahan KHak mein gum
Dube rahte hain teri yaad mein hum bhi aise
kuza-gar jaise hama-waqt rahe chaak mein gum
uThne wala hai zamin se kisi mahshar ka ghubar
hone wale hain sitare KHas-o-KHashak mein gum
us ko dekhunga miyan jab hi thamega tufan
hai abhi chand mere dida-e-namnak mein gum
raqs karte hue darwesh ko ma'lum hai sab
kitne adwar hain uDti hui is KHak mein gum
masale zist ko darpesh zamin par hain 'asar'
hum hue jate hain is hairat-e-aflak mein gum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.